What is Footprinting

 CH-1 Footprinting


Footprinting kisi bhi hacker ke liye first step hota hai.
Jankari means target system live hai ki nahi uska ip address kiya hai geographical location kya hai.kitne security
system hai jaise ki ide or firewall.konsi operating system hai or kitne domain name hai ya organization kitni badi hai.phone number employed ke bare puri jankari.ye sab jankari akatra karkar hi hacker apne kaam ko anjam deta hai.ye vaisa hi jaise koi chor bank me chori karne ke pahle ye jaan leta hai ki camera kaha hai, security guard kitne hai,cash kis counter par milge. Ek samjdar chor to in tariko ko apnata hi hai.

WHAT IS FOOTPRINTING
“The fine art of gathering target information”
Yani ki ssamjdari se target ki puri jaankari ko ekatra karna footprinting kahlata hai.
Footprinting ke do part hote hai
·       1st Active
·       2nd Passive
Active Footprinting-:
Active footprinting me ye chijo ka use hota hai
·       website mirroring
·       Email trashing
·       Server varifaction
1.  Website mirroring
Website mirroring se hum website ke saare contant ko offline use kar sakte hai or analyse  kar sakte hai. mirroring website ko at is it copy kara jata hai.
Isliye kitne tools ka use hota hai. is me se kuch niche diye hue hai
·       Teleport pro
·       iMiser
·       httrack website coppiar
website ko miiror karne ke baad ofline varnubilty dhundhi jati hai isse me risk naa ke barabar hota hai
ham aap ko httrack website coppiar ka use kar kar dikhate hai.
1.   Sab se pahle httrack website coppiar install kijiye or open kijiye to aap ko niche di hui screen dikhai degi.
httrack website coppiar


2.   Ab next paar click kigiye yaha project name me aap ka project ka naam likhiye or part set kijiye or next par click kijiye.is parth me aapki website copy hoyegi


3.   Web address me url daliye jise aap copy karna chate hai. Jaise maine ya ha http://indianghoststories.com/category/ghost-stories-in-hindi/ ye url type kiya hai

4.   Ab aap set option par click kijiye yaha par scan rules par click kijiye hai or aap kya kya copy karna chate hai us par click kijiye or next par click kijiye.
5.   Ab finish par click kijiye  par click kijiye

6.    

7.   Is tarah website copy honi suru ho jayegi use pura ho jane dijiye.
8.   Jb aap ki website copy ho jayegi to aap use ofline use kar sakte hai jb website copy ho jayegi to aap ko screen saw hogi
 Or aap us location par jaker us website ko open kar sakte hai.
2. Email trashing
Email trashing me Email aap ko kaha se bhaija gaya hai.kis kis server se aaya hai uska ip Address kiya hai ye pata lagaya jata hai.
Is liye ham kuch tools ka use karte hai jaise ki
·       Email tracking pro
·       MSGTAG
·       Polite Mail
·       Zendio
Koi aap ko fake mail bhejta hai to us email ka ip address pata karna vo kaha se bheja gaya hai ye location pata karna.
Ham aap ko email tracker pro ka use kar ke dikhayege.
1)   Sabse pahle aap email tracker pro install kar lijiye to aap ko yeh screen saw hogi
2)   Ab aap ok par click kigiye. ab aap trace hader par click kijiye
3)    Ab aapko is liye email header chayiye is liye aap jis email ko trace karna chaahte hai vo email open kijiye
Or screen pe dikhi de raha hai vaha par click kijiye.jaise ki arrow par show orijnal par.ab  header ko copy kar lijiye .
4)   Header ko email tracking pro me past kar dijiye or trace par click kar dijiye Email Trace hona suru ho jayega
5)   Ab aapko sab router ke ip address mil jaye ge.
3. Server verification
Server verification me hum ye pata karte hai server reachable hai ki nahi yani server us samay on hai ki nahi. Ek hacker ye jaankar hi hacking karna suru karta hai kyuki agar server online nahi hai to use hack karna hai bahut hi muskil ho jata hai.
Is liye ping command ka use hota hai
Apne system se target system tak hame pahuchne ke liye ham kitne router se hoker gujar rahe hai.ye pata lagaya jata hai isme server verification aa jata hai.
Is liye tools ka use kiya jata hai
·       Ping
·       Tracert
·       Visual Traceroutr
·       Sam Spade
·       TCR Trace Route
Conetivity dekhni ho tum ping command ka hi use karte hai. Ping ka cammnd ka use ye hai ki server se hamari conetivity kaisi hai.server online hai ki nahi.koi net problem to nahi hai.
Hum aap ko Ping command ka use karna batate hai
1)        Sabse pahle command pramot open kijiye.
2)        Ab ping likhiye or uske baad me url type kijiye jai se ki agar aap ko google ka server check karna ho to ping  google.com type kijiye
3)        Yaha aap ko google ka ip address pata chal jayega agar aapki connectivity 100% ya 50%  hai to server on hai.
Passive Footprinting-:
Passive footprint me attacker apne target se directly contact nahi karta passive footprinting me apne target ke najar me aaye bina ya apne target ki information jaha pahle se avelibal hai vaha se ki jati hai.
Jaise
·       Google search
·       Who is queries
·       DNS lookup
·       Social network
1) Google search
 Google searching ya google hacking ka use us target ke liye kiya jata hai jb koi hacker gupt jankari ko khojne ka praytn karta hai search enjoin ya browser ke dvara .jab ki google quires ko block kar kar rakhta hai ya use hack karne ka praytn karta hai.par sach to ye hai ki hacker ko  google database hack karne se ya hack ki website ki kamiyo ko ya unke loop hall ko hack karne se nahi rock pata hai.google hacking ka apna ek praroop hai hai.isme kuch chaynit sabdo ka use hota hai jinhe aap quary kar sakte hai.in ka prayog ham colum ke saath karte hai jaise ki inurl , intitle,site,filtype .
Website ka use karkar details kaise nikale
1)sabse pahle google.com par click kijiye or ghdb search kijiye
2)   ab aap hackerforcharity.org/ghdb ya
www.exploit-db.com/google-hacking-database open kijiye. In website ne pahle se hi google database  hack kar kar rakhe hai.
exploit-db.com/google-hacking-database open karte hai.
Yaha aap ko foothold web server Detection jaise or bhi data mil jayege.
Ab http://www.hackersforcharity.org/ghdb/  open karte hai yaha bhi aapko data mil jayege.
2) Who is quary
Who is quary se hame niche di hui jankari milti hai.
·       Domain name
·       Registration date
·       Owner ka name
·       Owner ka phone number
·       Owner ka address
·       Location
Is liye sabse pahle whois.com open kijiye or jis domain ka pata lagana chahte hai use type kar ke search kijiye
3)   Jaise ki  facebook.com type kar ke search karte hai.
To aap ko uska pura detail mil jaayegi

Jaise ki aap screenshot me dikh raha hai.
3) Social network
Social networking me apni details nakhna aam baat ho gayi hai.ham social networking me apni saari details naakh deta hai.jaise ki phone number kiya hai address kiya hai pin code kya hai pet name kiya hai etc.
Jb koi hacker ko aap ka paasword hack karna hota hai to vo yahi sab ka use kar kar paasword guess karte hai.
Is liye  hum is website ka use karte hai
1)   spokeo.com yaha aap name,email,phone or address se victim ka pata laga sakte hai
2)   jaise ki hum email se search karte hai.email type kijiye or search kijiye
3)   ye website paid hai yaani ki victim ki jankari ke liye aap ko paise dene padege. Jb search khatm ho jayega to ye screen show hogi.iska matlab ki ye email id vale user ka pata chal gaya hai

DOWNLOAD SECTION

 

HTTRACKER WEBSITE COPIER

CLICK HERE FOR DOWNLOAD

EMAIL TRACKER PRO

Comments